mere guman se bhi unchi uDan tak pahunchi
mire gumāñ se bhī ūñchī uḌaan tak pahuñchī
mirī ġhazal kī zamīñ āsmān tak pahuñchī
vo baat jis kī ḳhabar tak na thī zamāne ko
tumhārī vaj.h se duniyā ke kaan tak pahuñchī
tasavvurāt kī imdād ho ga.ī hāsil
tumhāre vasl kī hasrat uḌaan tak pahuñchī
hamāre ishq kī ta.alīm nā-mukammal thī
magar hamārī vafā imtihān tak pahuñchī
'hilāl' aur ziyāda ho terā zor-e-qalam
ye shā.erī tirī dil kī zabān tak pahuñchī
mere guman se bhi unchi uDan tak pahunchi
meri ghazal ki zamin aasman tak pahunchi
wo baat jis ki KHabar tak na thi zamane ko
tumhaari wajh se duniya ke kan tak pahunchi
tasawwuraat ki imdad ho gai hasil
tumhaare wasl ki hasrat uDan tak pahunchi
hamare ishq ki talim na-mukammal thi
magar hamari wafa imtihan tak pahunchi
'hilal' aur ziyaada ho tera zor-e-qalam
ye shaeri teri dil ki zaban tak pahunchi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.