mere har-nafas mein basa hai tu mere fikr-o-fan mein qiyam hai
mere har-nafas mein basa hai tu mere fikr-o-fan mein qiyam hai
Badiuzzaman Sahar
MORE BYBadiuzzaman Sahar
mire har-nafas meñ basā hai tū mire fikr-o-fan meñ qiyām hai
ki kitāb-e-dil ke varq varq meñ likhā huā tirā naam hai
na sukūn-e-dair-o-haram milā na ḳhudā milā na sanam milā
tire dil se dil jo baham milā to qarār-e-dil bhī mudām hai
jo chhuḌā.ī maañg se kahkashāñ to sitāre kaañp ke rah ga.e
tirī zulf abr kī chhāvnī tirā chehra māh-e-tamām hai
tū jamāl ban ke nazar meñ aa tū kamāl ban ke hunar pe chhā
mujhe raat din tirī aarzū tirī justujū mirā kaam hai
hai surāhī mai se aTī huī hai sharāb ḳhum meñ bharī huī
zarā dekh sāqī-e-mai-kadā mire haath meñ tahī-jām hai
mire ḳhvāb-reze simaT ga.e mire āñsuoñ ke hisār meñ
mirī sahmī sahmī sī sub.h hai mirī larza larza sī shaam hai
mere har-nafas mein basa hai tu mere fikr-o-fan mein qiyam hai
ki kitab-e-dil ke warq warq mein likha hua tera nam hai
na sukun-e-dair-o-haram mila na KHuda mila na sanam mila
tere dil se dil jo baham mila to qarar-e-dil bhi mudam hai
jo chhuDai mang se kahkashan to sitare kanp ke rah gae
teri zulf abr ki chhawni tera chehra mah-e-tamam hai
tu jamal ban ke nazar mein aa tu kamal ban ke hunar pe chha
mujhe raat din teri aarzu teri justuju mera kaam hai
hai surahi mai se aTi hui hai sharab KHum mein bhari hui
zara dekh saqi-e-mai-kada mere hath mein tahi-jam hai
mere KHwab-reze simaT gae mere aansuon ke hisar mein
meri sahmi sahmi si subh hai meri larza larza si sham hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.