mere hawas pe hawi rahi koi koi baat
mire havās pe haavī rahī koī koī baat
ki zindagī se sivā ḳhaas thī koī koī baat
ye aur baat ki mahsūs tak na hone duuñ
jakaḌ sī letī hai dil ko tirī koī koī baat
koī bhī tujh sā mujhe hū-ba-hū kahīñ na malā
kisī kisī meñ agarche milī koī koī baat
ḳhushī hui ki mulāqāt rā.egāñ na ga.ī
use bhī merī tarah yaad thī koī koī baat
badan meñ zahr kai mānind phail jaatī hai
diloñ meñ ḳhauf se sahmī hui koī koī baat
kabhī samajh nahīñ paa.e ki us meñ kyā hai magar
chalī to aise ki bas chal paḌī koī koī baat
vazāhatoñ meñ ulajh kar yahī khilā 'javvād'
zarūrī hai ki rahe an-kahī koī koī baat
mere hawas pe hawi rahi koi koi baat
ki zindagi se siwa KHas thi koi koi baat
ye aur baat ki mahsus tak na hone dun
jakaD si leti hai dil ko teri koi koi baat
koi bhi tujh sa mujhe hu-ba-hu kahin na mala
kisi kisi mein agarche mili koi koi baat
KHushi hui ki mulaqat raegan na gai
use bhi meri tarah yaad thi koi koi baat
badan mein zahr kai manind phail jati hai
dilon mein KHauf se sahmi hui koi koi baat
kabhi samajh nahin pae ki us mein kya hai magar
chali to aise ki bas chal paDi koi koi baat
wazahaton mein ulajh kar yahi khila 'jawwad'
zaruri hai ki rahe an-kahi koi koi baat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.