mere hazar ghamon ka hisab kaun likhe
mire hazār ġhamoñ kā hisāb kaun likhe
maiñ ik kahānī huuñ mujh par kitāb kaun likhe
gunāh likhte rahe merī aah ko lekin
jo ashk dil meñ haiñ un ko savāb kaun likhe
tumhārī yaad nahīñ ik azaab hai goyā
magar tumhāre karam ko azaab kaun likhe
ham apne zaḳhm-e-jigar ko chhupā.e baiThe haiñ
tumhāre chehre ko taaza gulāb kaun likhe
mirā qalam to mirā saath chhoḌ baiThā hai
kitāb-e-dil kā mirī intisāb kaun likhe
sabhī ko pyārī hai jaañ apnī ek mere sivā
sitam sitam ko tumhāre janāb kaun likhe
maiñ apne ḳhat bhī ḳhud un kī taraf se likhtī huuñ
vafā ko chhoḌiye us kā javāb kaun likhe
mere hazar ghamon ka hisab kaun likhe
main ek kahani hun mujh par kitab kaun likhe
gunah likhte rahe meri aah ko lekin
jo ashk dil mein hain un ko sawab kaun likhe
tumhaari yaad nahin ek azab hai goya
magar tumhaare karam ko azab kaun likhe
hum apne zaKHm-e-jigar ko chhupae baiThe hain
tumhaare chehre ko taza gulab kaun likhe
mera qalam to mera sath chhoD baiTha hai
kitab-e-dil ka meri intisab kaun likhe
sabhi ko pyari hai jaan apni ek mere siwa
sitam sitam ko tumhaare janab kaun likhe
main apne KHat bhi KHud un ki taraf se likhti hun
wafa ko chhoDiye us ka jawab kaun likhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.