mere hisse mein jo aani hai shohrat rok rakkhi hai
mire hisse meñ jo aanī hai shohrat rok rakkhī hai
mire aḳhlāq ne bhī merī izzat rok rakkhī hai
hamāre pāltū tote ko billī kar ga.ī zaḳhmī
mire bachchoñ kī is ġham ne sharārat rok rakkhī hai
tumhārī yaad ne aise hameñ zinda rakhā ab tak
kisī ne jaise girne se imārat rok rakkhī hai
abhī rātoñ kī tanhā.ī meñ uTh kar rone vaale haiñ
isī baa.is mire rab ne qayāmat rok rakkhī hai
ka.ī din se nahīñ dekhā hai 'ashraf' maañ ke chehre ko
ka.ī din se in āñkhoñ ne ibādat rok rakkhī hai
mere hisse mein jo aani hai shohrat rok rakkhi hai
mere aKHlaq ne bhi meri izzat rok rakkhi hai
hamare paltu tote ko billi kar gai zaKHmi
mere bachchon ki is gham ne shararat rok rakkhi hai
tumhaari yaad ne aise hamein zinda rakha ab tak
kisi ne jaise girne se imarat rok rakkhi hai
abhi raaton ki tanhai mein uTh kar rone wale hain
isi bais mere rab ne qayamat rok rakkhi hai
kai din se nahin dekha hai 'ashraf' man ke chehre ko
kai din se in aankhon ne ibaadat rok rakkhi hai
- Book : Scan File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.