mere is tapida KHun mein koi tegh si Dhale to
mire is tapīda ḳhuuñ meñ koī teġh sī Dhale to
jo maraz banā hai merā yahī ġham davā bane to
ye jahān-e-ātish-o-ḳhūñ yahī rang ang us kā
dil-e-narm ḳhud bhī merā isī rang meñ Dhale to
vo hazār vahshateñ jo mire ḳhuuñ meñ nāchtī haiñ
kabhī ek aisā mela sar-e-bazm bhī saje to
mirī ḳhasta rozgārī mire aaḌe thī vagarna
maiñ bhī kū-ba-kū nikaltā mire paas ḳhvāb the to
sar-e-vaqt kyā likhā hai vo bhī dekh leñge 'kāvish'
dil-e-band par junūñ ke na.e baab vā hue to
mere is tapida KHun mein koi tegh si Dhale to
jo maraz bana hai mera yahi gham dawa bane to
ye jahan-e-atish-o-KHun yahi rang ang us ka
dil-e-narm KHud bhi mera isi rang mein Dhale to
wo hazar wahshaten jo mere KHun mein nachti hain
kabhi ek aisa mela sar-e-bazm bhi saje to
meri KHasta rozgari mere aaDe thi wagarna
main bhi ku-ba-ku nikalta mere pas KHwab the to
sar-e-waqt kya likha hai wo bhi dekh lenge 'kawish'
dil-e-band par junun ke nae bab wa hue to
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.