mere jaise nahin kisi ke zaKHm
mire jaise nahīñ kisī ke zaḳhm
haiñ mire zaḳhm zindagī ke zaḳhm
aa.ina dekhtā hai hairat se
lab pe aa.e nahīñ hañsī ke zaḳhm
sab kī nazreñ haiñ mere sar kī taraf
chhaTpaTāte haiñ tashtarī ke zaḳhm
zaḳhm khānā thā mashġhala us kā
khā ga.e phir use usī ke zaḳhm
baiTh jaatā huuñ ret par thak kar
aur gintā huuñ ik nadī ke zaḳhm
mere jaise nahin kisi ke zaKHm
hain mere zaKHm zindagi ke zaKHm
aaina dekhta hai hairat se
lab pe aae nahin hansi ke zaKHm
sab ki nazren hain mere sar ki taraf
chhaTpaTate hain tashtari ke zaKHm
zaKHm khana tha mashghala us ka
kha gae phir use usi ke zaKHm
baiTh jata hun ret par thak kar
aur ginta hun ek nadi ke zaKHm
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.