mere jurm-e-ishq ki is qadar mujhe ai nadim saza na de
mire jurm-e-ishq kī is qadar mujhe ai nadīm sazā na de
mire dil pe itnī jafā na kar mujhe yuuñ nazar se girā na de
yahī ek gauhar-e-be-bahā mirī zindagī kā hai mā-hasal
mujhe Dar hai terī ye be-ruḳhī ġham-e-ārzū ko miTā na de
hai ḳhamosh ātish-e-zindagī magar ik sharar tire ishq kā
mire dil meñ ab bhī chamak rahā hai use bhī yaas bujhā na de
ab agarche qābil-e-etibār hai ġhair hī kī vafā magar
mirī us vafā ko jo e'tibār se gir chukī hai bhulā na de
jo mujhe yaqīñ ho ki maiñ hī tere harīm-e-ġham kā rafīq huuñ
to balā se gar mujhe bazm-e-aish meñ baar terī atā na de
mere jurm-e-ishq ki is qadar mujhe ai nadim saza na de
mere dil pe itni jafa na kar mujhe yun nazar se gira na de
yahi ek gauhar-e-be-baha meri zindagi ka hai ma-hasal
mujhe Dar hai teri ye be-ruKHi gham-e-arzu ko miTa na de
hai KHamosh aatish-e-zindagi magar ek sharar tere ishq ka
mere dil mein ab bhi chamak raha hai use bhi yas bujha na de
ab agarche qabil-e-etibar hai ghair hi ki wafa magar
meri us wafa ko jo e'tibar se gir chuki hai bhula na de
jo mujhe yaqin ho ki main hi tere harim-e-gham ka rafiq hun
to bala se gar mujhe bazm-e-aish mein bar teri ata na de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.