mere kaghaz pe hain lafzon ke tabinda sitare
mire kāġhaz pe haiñ lafzoñ ke tābinda sitāre
zamīn-e-sher se nikle daraḳhshanda sitāre
bisāt-e-raftagān-e-fan lapeTī jā chukī hai
sar-e-charḳh-e-hunar maujūd haiñ zinda sitāre
muqaddar kī lakīreñ khīñchne vaalā ḳhudā hai
nahīñ hote muqaddar ke navīsanda sitāre
nadāmat ke sabab kyā muñh dikhā.eñge sahar ko
ki haiñ jurm-e-tunuk-tābī pe sharminda sitāre
na hoñge bai'at-e-shab ke liye tayyār hargiz
vo maujūda sitāre hoñ ki ā.inda sitāre
fasīl-e-vaqt par kanda rahegā naam apnā
ki ham haiñ ahd-e-hāzir ke numā.inda sitāre
zamīñ ke goshe goshe par nazar rakhte haiñ 'yāvar'
jamāl-e-sub.h-e-fardā ke haiñ joinda sitāre
mere kaghaz pe hain lafzon ke tabinda sitare
zamin-e-sher se nikle daraKHshanda sitare
bisat-e-raftagan-e-fan lapeTi ja chuki hai
sar-e-charKH-e-hunar maujud hain zinda sitare
muqaddar ki lakiren khinchne wala KHuda hai
nahin hote muqaddar ke nawisanda sitare
nadamat ke sabab kya munh dikhaenge sahar ko
ki hain jurm-e-tunuk-tabi pe sharminda sitare
na honge bai'at-e-shab ke liye tayyar hargiz
wo maujuda sitare hon ki aainda sitare
fasil-e-waqt par kanda rahega nam apna
ki hum hain ahd-e-hazir ke numainda sitare
zamin ke goshe goshe par nazar rakhte hain 'yawar'
jamal-e-subh-e-farda ke hain joinda sitare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.