mere kamre ko sahra kar raha hai
mire kamre ko sahrā kar rahā hai
tumhārā ġham karishma kar rahā hai
mirī āñkhoñ kī masjid kā muazzin
tire chehre pe sajda kar rahā hai
ka.ī bīmār aise bhī haiñ jin ko
tumhārā zikr achchhā kar rahā hai
gahan dhabbā nahīñ hai bad-duā kā
ḳhudā sūraj pe saaya kar rahā hai
tabīb-e-ḳhush-navā kā vaqtī marham
mire zaḳhmoñ ko gūñgā kar rahā hai
ta.affun uTh rahā hai shā.irī se
koī to hai jo charba kar rahā hai
na jaane kyā huā hai nā-ḳhudā ko
kināre se kinārā kar rahā hai
hazāroñ log jis se mar ga.e haiñ
hameñ vo zahr achchhā kar rahā hai
mere kamre ko sahra kar raha hai
tumhaara gham karishma kar raha hai
meri aankhon ki masjid ka muazzin
tere chehre pe sajda kar raha hai
kai bimar aise bhi hain jin ko
tumhaara zikr achchha kar raha hai
gahan dhabba nahin hai bad-dua ka
KHuda suraj pe saya kar raha hai
tabib-e-KHush-nawa ka waqti marham
mere zaKHmon ko gunga kar raha hai
taffun uTh raha hai shairi se
koi to hai jo charba kar raha hai
na jaane kya hua hai na-KHuda ko
kinare se kinara kar raha hai
hazaron log jis se mar gae hain
hamein wo zahr achchha kar raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.