mere KHayal mein shaklen badal ke aati hain
mire ḳhayāl meñ shakleñ badal ke aatī haiñ
isī ḳharābe se pariyāñ nikal ke aatī haiñ
mire zavāl meñ nīñdoñ kā kuchh to hissa hai
mirī talāsh meñ rāteñ bhī chal ke aatī haiñ
mire badan meñ lahū chīḳhtā hai rātoñ ko
havā.eñ aatī haiñ lekin sambhal ke aatī haiñ
ḳhushī kahāñ kī hai 'ārif' ġhamoñ kā qissa hai
rifāqateñ bhī to ḳhvāboñ meñ Dhal ke aatī haiñ
mere KHayal mein shaklen badal ke aati hain
isi KHarabe se pariyan nikal ke aati hain
mere zawal mein nindon ka kuchh to hissa hai
meri talash mein raaten bhi chal ke aati hain
mere badan mein lahu chiKHta hai raaton ko
hawaen aati hain lekin sambhal ke aati hain
KHushi kahan ki hai 'arif' ghamon ka qissa hai
rifaqaten bhi to KHwabon mein Dhal ke aati hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.