mere KHuda meri qaid-e-hayat kam kar de
mire ḳhudā mirī qaid-e-hayāt kam kar de
charāġh de nahīñ saktā to raat kam kar de
sabhī to merī tarah hausla nahīñ rakhte
sutūn-e-dār ko do-chār haath kam kar de
mire vajūd kī qīmat agar parakhnī hai
ye kā.enāt uThā merī zaat kam kar de
maiñ aadmī ke qasīde ko band kartā huuñ
zarā sā tū bhī farishtoñ kī baat kam kar de
tire ḳhulūs-e-musalsal se jī na bhar jaa.e
kabhī kabhī nigah-e-iltifāt kam kar de
ye roz-roz na.ī karbalā.eñ kaisī haiñ
mirī zamīn se dāġh-e-furāt kam kar de
mere KHuda meri qaid-e-hayat kam kar de
charagh de nahin sakta to raat kam kar de
sabhi to meri tarah hausla nahin rakhte
sutun-e-dar ko do-chaar hath kam kar de
mere wajud ki qimat agar parakhni hai
ye kaenat uTha meri zat kam kar de
main aadmi ke qaside ko band karta hun
zara sa tu bhi farishton ki baat kam kar de
tere KHulus-e-musalsal se ji na bhar jae
kabhi kabhi nigah-e-iltifat kam kar de
ye roz-roz nai karbalaen kaisi hain
meri zamin se dagh-e-furaat kam kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.