mere KHwabon ki jo tabir hogi
mire ḳhvāboñ kī jo ta.abīr hogī
jabīn-e-vaqt kī tahrīr hogī
maiñ sach bolūñgā to har baat merī
zamāne ke jigar meñ tiir hogī
ḳhabar kyā thī matā.a-e-ḳhud-shanāsī
ḳhud apne paañv kī zanjīr hogī
pareshāñ dil ko bahlāne kī āḳhir
kahīñ to koī to tadbīr hogī
hamārī shā.irī apnī sadī kī
'sahar' muñh boltī tasvīr hogī
mere KHwabon ki jo tabir hogi
jabin-e-waqt ki tahrir hogi
main sach bolunga to har baat meri
zamane ke jigar mein tir hogi
KHabar kya thi mataa-e-KHud-shanasi
KHud apne panw ki zanjir hogi
pareshan dil ko bahlane ki aaKHir
kahin to koi to tadbir hogi
hamari shairi apni sadi ki
'sahar' munh bolti taswir hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.