mere KHwabon se ojhal us ka chehra ho gaya hai
mire ḳhvāboñ se ojhal us kā chehra ho gayā hai
maiñ aisā chāhtā kab thā par aisā ho gayā hai
ta.alluq ab yahāñ kam hai mulāqāteñ ziyāda
hujūm-e-shahr meñ har shaḳhs tanhā ho gayā hai
tirī takmīl kī ḳhvāhish to puurī ho na paa.ī
magar ik shaḳhs mujh meñ bhī adhūrā ho gayā hai
jo bāġh-e-ārzū thā ab vahī hai dasht-e-vahshat
ye dil kyā hone vaalā thā magar kyā ho gayā hai
maiñ samjhā thā siyegī āgahī chāk-e-junūñ ko
magar ye zaḳhm to pahle se gahrā ho gayā hai
maiñ tujh se saath bhī to umr-bhar kā chāhtā thā
so ab tujh se gilā bhī umr-bhar kā ho gayā hai
tire aane se aayā kaun sā aisā taġhayyur
faqat tark-e-marāsim kā mudāvā ho gayā hai
mirā aalam agar pūchheñ to un se arz karnā
ki jaisā aap farmāte the vaisā ho gayā hai
maiñ kyā thā aur kyā huuñ aur kyā honā hai mujh ko
mirā honā to jaise ik tamāshā ho gayā hai
yaqīnan ham ne aapas meñ koī va.ada kiyā thā
magar us guftugū ko ek arsa ho gayā hai
agarche dastaras meñ āgahī hai saarī duniyā
magar dil kī taraf bhī ek dar vā ho gayā hai
ye bechainī hamesha se mirī fitrat hai lekin
ba-qadr-e-umr is meñ kuchh izāfa ho gayā hai
mujhe har sub.h yaad aatī hai bachpan kī vo āvāz
chalo 'irfān' uTh jaao saverā ho gayā hai
mere KHwabon se ojhal us ka chehra ho gaya hai
main aisa chahta kab tha par aisa ho gaya hai
talluq ab yahan kam hai mulaqaten ziyaada
hujum-e-shahr mein har shaKHs tanha ho gaya hai
teri takmil ki KHwahish to puri ho na pai
magar ek shaKHs mujh mein bhi adhura ho gaya hai
jo bagh-e-arzu tha ab wahi hai dasht-e-wahshat
ye dil kya hone wala tha magar kya ho gaya hai
main samjha tha siyegi aagahi chaak-e-junun ko
magar ye zaKHm to pahle se gahra ho gaya hai
main tujh se sath bhi to umr-bhar ka chahta tha
so ab tujh se gila bhi umr-bhar ka ho gaya hai
tere aane se aaya kaun sa aisa taghayyur
faqat tark-e-marasim ka mudawa ho gaya hai
mera aalam agar puchhen to un se arz karna
ki jaisa aap farmate the waisa ho gaya hai
main kya tha aur kya hun aur kya hona hai mujh ko
mera hona to jaise ek tamasha ho gaya hai
yaqinan hum ne aapas mein koi wada kiya tha
magar us guftugu ko ek arsa ho gaya hai
agarche dastaras mein aagahi hai sari duniya
magar dil ki taraf bhi ek dar wa ho gaya hai
ye bechaini hamesha se meri fitrat hai lekin
ba-qadr-e-umr is mein kuchh izafa ho gaya hai
mujhe har subh yaad aati hai bachpan ki wo aawaz
chalo 'irfan' uTh jao sawera ho gaya hai
- Book : Takrar-e-saa.at (Pg. 104)
- Author : Irfan Sattar
- Publication : Dehleez Publication (2016)
- Edition : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.