mere kuchh bhi kahe ko kaTta hai
mire kuchh bhī kahe ko kāTtā hai
vo apne dā.ere ko kāTtā hai
maiñ is bāzār ke qābil nahīñ huuñ
yahāñ khoTā khare ko kāTtā hai
udaas āñkheñ pahantī haiñ hañsī ko
phir aañsū qahqahe ko kāTtā hai
na mujh ko haiñ qubūl apnī ḳhatā.eñ
na vo apne likhe ko kāTtā hai
tavajjoh chāhtā hai ġham purānā
so rah rah kar na.e ko kāTtā hai
vahī aañsū vahī maazī ke qisse
jise dekho kaTe ko kāTtā hai
mere kuchh bhi kahe ko kaTta hai
wo apne daere ko kaTta hai
main is bazar ke qabil nahin hun
yahan khoTa khare ko kaTta hai
udas aankhen pahanti hain hansi ko
phir aansu qahqahe ko kaTta hai
na mujh ko hain qubul apni KHataen
na wo apne likhe ko kaTta hai
tawajjoh chahta hai gham purana
so rah rah kar nae ko kaTta hai
wahi aansu wahi mazi ke qisse
jise dekho kaTe ko kaTta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.