mere labon pe to barson se ek sada bhi nahin
mire laboñ pe to barsoñ se ik sadā bhī nahīñ
ye kaisī chīḳh thī ghar meñ to dūsrā bhī nahīñ
tirī kitāb meñ rakhī thī titliyāñ jis ne
vo maiñ hī thā ye batāne kā hausla bhī nahīñ
vo ehtiyāt se ḳhud ko sambhāle rakhtā hai
maiñ TuuT phuuT gayā us ko kuchh huā bhī nahīñ
zarā sī baat pe ḳhanjar nikāl letā hai
kisī ko ishq mohabbat se vāsta bhī nahīñ
hamāre ahd ke bachchoñ kā ḳhaas tohfa hai
jo zaḳhm ḳhushk bhī puurī tarah harā bhī nahīñ
mere labon pe to barson se ek sada bhi nahin
ye kaisi chiKH thi ghar mein to dusra bhi nahin
teri kitab mein rakhi thi titliyan jis ne
wo main hi tha ye batane ka hausla bhi nahin
wo ehtiyat se KHud ko sambhaale rakhta hai
main TuT phuT gaya us ko kuchh hua bhi nahin
zara si baat pe KHanjar nikal leta hai
kisi ko ishq mohabbat se wasta bhi nahin
hamare ahd ke bachchon ka KHas tohfa hai
jo zaKHm KHushk bhi puri tarah hara bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.