mere lahu ko mere zaKHm ki dawa kahiye
mire lahū ko mire zaḳhm kī davā kahiye
jale makāñ ke dhueñ ko hī ab sabā kahiye
bilakte shahr kī galiyoñ se ugne vaalī sahar
sahar nahīñ hai use raat kī qazā kahiye
lahū rulātī rahī jo vafā kī tā'bīreñ
vafā na kahiye ise ab ise jafā kahiye
baḌhegā zulm to uTh jā.egā lihāz-o-adab
hamārā haath jo uTThā to muqtazā kahiye
sabhī ne sabr kī talqīn kī hameñ lekin
chhalak bhī jaa.e ye sāġhar kabhī to kyā kahiye
mere lahu ko mere zaKHm ki dawa kahiye
jale makan ke dhuen ko hi ab saba kahiye
bilakte shahr ki galiyon se ugne wali sahar
sahar nahin hai use raat ki qaza kahiye
lahu rulati rahi jo wafa ki ta'biren
wafa na kahiye ise ab ise jafa kahiye
baDhega zulm to uTh jaega lihaz-o-adab
hamara hath jo uTTha to muqtaza kahiye
sabhi ne sabr ki talqin ki hamein lekin
chhalak bhi jae ye saghar kabhi to kya kahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.