Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere nasib ka hai ya sitara KHwab ka hai

Khurshid Rabbani

mere nasib ka hai ya sitara KHwab ka hai

Khurshid Rabbani

MORE BYKhurshid Rabbani

    mire nasīb hai sitāra ḳhvāb hai

    safar ke baab meñ lekin sahārā ḳhvāb hai

    tire ḳhayāl sahrā ubuur karne meñ

    hai naf.a dard lekin ḳhasāra ḳhvāb hai

    jale-bujhe hue ḳheme raakh meñ jis ko

    sitāre DhūñDte haiñ vo sharāra ḳhvāb hai

    ḳhudā kare ki khule ek din zamāne par

    mirī kahānī meñ jo isti.āra ḳhvāb hai

    baras rahā hai zamīn-e-suḳhan pe jo 'ḳhurshīd'

    kisī malāl abr-pāra ḳhvāb hai

    mere nasib ka hai ya sitara KHwab ka hai

    safar ke bab mein lekin sahaara KHwab ka hai

    tere KHayal ka sahra ubur karne mein

    hai nafa dard ka lekin KHasara KHwab ka hai

    jale-bujhe hue KHeme ki rakh mein jis ko

    sitare DhunDte hain wo sharara KHwab ka hai

    KHuda kare ki khule ek din zamane par

    meri kahani mein jo istiara KHwab ka hai

    baras raha hai zamin-e-suKHan pe jo 'KHurshid'

    kisi malal ka ya abr-para KHwab ka hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now