mere qalam ka agar sar kabhi qalam hoga
mire qalam kā agar sar kabhī qalam hogā
nayā fasāna-e-dard-o-alam raqam hogā
ye māntī huuñ miTā degā merā daur mujhe
na.e zamāne kā is ḳhaak se janam hogā
maiñ apne aap kī pahchān bhuul baiThī huuñ
ab is se aur baḌā kyā koī sitam hogā
na jaane kyuuñ mujhe sach bolne kī aadat hai
ye jaan kar ki har ik gaam sar qalam hogā
chalo uThāte haiñ aivān-e-vaqt kā malba
usī meñ dafn mirī zaat kā sanam hogā
falak ne muuñd liiñ āñkheñ zamīñ ne rokī saañs
'ayāñ' kā aaj na.ī raah par qadam hogā
mere qalam ka agar sar kabhi qalam hoga
naya fasana-e-dard-o-alam raqam hoga
ye manti hun miTa dega mera daur mujhe
nae zamane ka is KHak se janam hoga
main apne aap ki pahchan bhul baiThi hun
ab is se aur baDa kya koi sitam hoga
na jaane kyun mujhe sach bolne ki aadat hai
ye jaan kar ki har ek gam sar qalam hoga
chalo uThate hain aiwan-e-waqt ka malba
usi mein dafn meri zat ka sanam hoga
falak ne mund lin aankhen zamin ne roki sans
'ayan' ka aaj nai rah par qadam hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.