mere ratjagon ko zafar-yab kar de
mire ratjagoñ ko zafar-yāb kar de
ḳhudāyā use itnā be-ḳhvāb kar de
vo ġhuncha-badan ab ke pathrā gayā hai
mire āñsuoñ ko bhī tezāb kar de
use itnā ḳhush kar ki lab suukh jaa.eñ
use itnā ġham de ki sairāb kar de
agar muztarib hai to us ko sukūñ de
agar pur-sukūñ hai to betāb kar de
ye maḳhlūq apne liye mas.ala hai
vafā karne vāloñ ko nāyāb kar de
mere ratjagon ko zafar-yab kar de
KHudaya use itna be-KHwab kar de
wo ghuncha-badan ab ke pathra gaya hai
mere aansuon ko bhi tezab kar de
use itna KHush kar ki lab sukh jaen
use itna gham de ki sairab kar de
agar muztarib hai to us ko sukun de
agar pur-sukun hai to betab kar de
ye maKHluq apne liye masala hai
wafa karne walon ko nayab kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.