mere samne to mera pyar hoga
mire sāmne to mirā pyaar hogā
vo nazroñ se dil meñ giraftār hogā
vo jis ke liye maiñ ne duniyā sajā.ī
vo zālim hī merā ḳhatāvār hogā
jo mehnat se apnī nikālegā paanī
to qadmoñ meñ us ke ye sansār hogā
buzurgoñ ke naqsh-e-qadam par chalūñgā
mahaktā huā merā kirdār hogā
tū 'ādarsh' apnā banā le ḳhudā ko
to dushman bhī terā taraf-dār hogā
mere samne to mera pyar hoga
wo nazron se dil mein giraftar hoga
wo jis ke liye main ne duniya sajai
wo zalim hi mera KHatawar hoga
jo mehnat se apni nikalega pani
to qadmon mein us ke ye sansar hoga
buzurgon ke naqsh-e-qadam par chalunga
mahakta hua mera kirdar hoga
tu 'adarsh' apna bana le KHuda ko
to dushman bhi tera taraf-dar hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.