mere saqi ek aisa daur-e-saghar
mire saaqī ik aisā daur-e-sāġhar
piyūñ jī bhar ke ashk-e-dīda-e-tar
jamāl-e-dost yuuñ ho jalva-farmā
gireñ merī nazar se māh-o-aḳhtar
havā.eñ le uḌeñ zulfoñ kī ḳhushbū
ye duniyā ho fazā-e-ūd-o-anbar
tire qurb-e-shamīm-ārā ke sadqe
mirī har saañs ho jaa.e mo.attar
dhaḌaktā hai mirā dil be-tahāsha
laraztī hai agar shāḳh-e-gul-e-tar
chamaktā jā chamaktā jā musalsal
tamannāoñ ke ai māh-e-munavvar
yahāñ haiñ phuul kam kāñTe ziyāda
to phir ho jā.iye kāñToñ ke ḳhūgar
isī ummīd par kaT jaa.e yā rab
kabhī hogā sukūn-e-dil mayassar
mujhe sheroñ meñ kah denā hai 'maġhmūm
guzartī hai jo lamha lamha dil par
mere saqi ek aisa daur-e-saghar
piyun ji bhar ke ashk-e-dida-e-tar
jamal-e-dost yun ho jalwa-farma
giren meri nazar se mah-o-aKHtar
hawaen le uDen zulfon ki KHushbu
ye duniya ho faza-e-ud-o-anbar
tere qurb-e-shamim-ara ke sadqe
meri har sans ho jae moattar
dhaDakta hai mera dil be-tahasha
larazti hai agar shaKH-e-gul-e-tar
chamakta ja chamakta ja musalsal
tamannaon ke ai mah-e-munawwar
yahan hain phul kam kanTe ziyaada
to phir ho jaiye kanTon ke KHugar
isi ummid par kaT jae ya rab
kabhi hoga sukun-e-dil mayassar
mujhe sheron mein kah dena hai 'maghmum
guzarti hai jo lamha lamha dil par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.