mere sath tum bhi dua karo yun kisi ke haq mein bura na ho
mire saath tum bhī du'ā karo yuuñ kisī ke haq meñ burā na ho
kahīñ aur ho na ye hādisa koī rāste meñ judā na ho
sar-e-shām Thahrī huī zamīñ jahāñ āsmāñ hai jhukā huā
usī moḌ par mire vāste vo charāġh le ke khaḌā na ho
mirī chhat se raat kī sej tak koī āñsuoñ kī lakīr hai
zarā baḌh ke chāñd se pūchhnā vo usī taraf se gayā na ho
mujhe yuuñ lagā ki ḳhamosh ḳhushbū ke hoñT titlī ne chhū liye
unhīñ zard pattoñ kī oT meñ koī phuul soyā huā na ho
isī ehtiyāt meñ vo rahā isī ehtiyāt meñ maiñ rahā
vo kahāñ kahāñ mire saath hai kisī aur ko ye pata na ho
vo farishte aap talāsh kariye kahāniyoñ kī kitāb meñ
jo burā kaheñ na burā suneñ koī shaḳhs un se ḳhafā na ho
vo firāq ho ki visāl ho tirī aag mahkegī ek din
vo gulāb ban ke khilegā kyā jo charāġh ban ke jalā na ho
mere sath tum bhi du'a karo yun kisi ke haq mein bura na ho
kahin aur ho na ye hadisa koi raste mein juda na ho
sar-e-sham Thahri hui zamin jahan aasman hai jhuka hua
usi moD par mere waste wo charagh le ke khaDa na ho
meri chhat se raat ki sej tak koi aansuon ki lakir hai
zara baDh ke chand se puchhna wo usi taraf se gaya na ho
mujhe yun laga ki KHamosh KHushbu ke honT titli ne chhu liye
unhin zard patton ki oT mein koi phul soya hua na ho
isi ehtiyat mein wo raha isi ehtiyat mein main raha
wo kahan kahan mere sath hai kisi aur ko ye pata na ho
wo farishte aap talash kariye kahaniyon ki kitab mein
jo bura kahen na bura sunen koi shaKHs un se KHafa na ho
wo firaq ho ki visal ho teri aag mahkegi ek din
wo gulab ban ke khilega kya jo charagh ban ke jala na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.