mere sath usne banaya tamasha
mire saath us ne banāyā tamāshā
magar maiñ ne phir bhī nibhāyā tamāshā
purānī kahānī abhī chal rahī thī
ki us ne nayā ik dikhāyā tamāshā
ye theatre tamāshā.iyoñ se bharā thā
jab is baar us ne lagāyā tamāshā
mu'āvin adākār kyoñ biich aa.e
jo tanhā thā us ne chalāyā tamāshā
mujhe ek manfī sā kirdār de kar
lagātār us ne baḌhāyā tamāshā
jo mehmāñ adākār kā maiñ ne pūchhā
to kyoñ us ne mujh se chhupāyā tamāshā
mire ḳhuun se saarā stage bhar ke
baḌā hī bhayānak banāyā tamāshā
na jaane diiñ kis ne hidāyāt us ko
jo le kar mirī jaañ miTāyā tamāshā
mere sath us ne banaya tamasha
magar main ne phir bhi nibhaya tamasha
purani kahani abhi chal rahi thi
ki us ne naya ek dikhaya tamasha
ye theatre tamashaiyon se bhara tha
jab is bar us ne lagaya tamasha
mu'awin adakar kyon bich aae
jo tanha tha us ne chalaya tamasha
mujhe ek manfi sa kirdar de kar
lagatar us ne baDhaya tamasha
jo mehman adakar ka main ne puchha
to kyon us ne mujh se chhupaya tamasha
mere KHun se sara stage bhar ke
baDa hi bhayanak banaya tamasha
na jaane din kis ne hidayat us ko
jo le kar meri jaan miTaya tamasha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.