mere sine se tera tir jab ai jang-ju nikla
mire siine se terā tiir jab ai jañg-jū niklā
dahān-e-zaḳhm se ḳhuuñ ho ke harf-e-ārzū niklā
mirā ghar terī manzil-gāh ho aise kahāñ taal.e
ḳhudā jaane kidhar kā chāñd aaj ai māh-rū niklā
phirā gar āsmāñ to shauq meñ tere hai sargardāñ
agar ḳhurshīd niklā terā garm-e-justujū niklā
mai-e-ishrat talab karte the nāhaq āsmāñ se ham
vo thā labrez-e-ġham is ḳhum-kade se jo subū niklā
tire aate hī aate kaam āḳhir ho gayā merā
rahī hasrat ki dam merā na tere rū-ba-rū niklā
kahīñ tujh ko na paayā garche ham ne ik jahāñ DhūñDā
phir āḳhir dil hī meñ dekhā baġhal hī meñ se tū niklā
ḳhajil apne gunāhoñ se huuñ maiñ yaañ tak ki jab royā
to jo aañsū mirī āñkhoñ se niklā surḳh-rū niklā
ghise sab nāḳhun-e-tadbīr aur TuuTī sar-e-sozan
magar thā dil meñ jo kāñTā na hargiz vo kabhū niklā
use ayyār paayā yaar samjhe 'zauq' ham jis ko
jise yaañ dost apnā ham ne jaanā vo udū niklā
mere sine se tera tir jab ai jang-ju nikla
dahan-e-zaKHm se KHun ho ke harf-e-arzu nikla
mera ghar teri manzil-gah ho aise kahan tale
KHuda jaane kidhar ka chand aaj ai mah-ru nikla
phira gar aasman to shauq mein tere hai sargardan
agar KHurshid nikla tera garm-e-justuju nikla
mai-e-ishrat talab karte the nahaq aasman se hum
wo tha labrez-e-gham is KHum-kade se jo subu nikla
tere aate hi aate kaam aaKHir ho gaya mera
rahi hasrat ki dam mera na tere ru-ba-ru nikla
kahin tujh ko na paya garche hum ne ek jahan DhunDa
phir aaKHir dil hi mein dekha baghal hi mein se tu nikla
KHajil apne gunahon se hun main yan tak ki jab roya
to jo aansu meri aankhon se nikla surKH-ru nikla
ghise sab naKHun-e-tadbir aur TuTi sar-e-sozan
magar tha dil mein jo kanTa na hargiz wo kabhu nikla
use ayyar paya yar samjhe 'zauq' hum jis ko
jise yan dost apna hum ne jaana wo udu nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.