mere soe dil ko jagane lagi hai
mire so.e dil ko jagāne lagī hai
ye sahrā meñ bādal sajāne lagī hai
bichhā do sabhī phuul rāhoñ pe us ke
vo sāvan kī rut milne aane lagī hai
zamīñ se falak tak chhalaktā samāñ hai
havā meñ samundar uThāne lagī hai
kabhī girte patte kabhī uḌte patte
ye āñgan meñ halchal machāne lagī hai
baḌī ḳhūbsūrat hai bārish magar ye
ġharīboñ kī chhat kyuuñ girāne lagī hai
Tapaktā hai paanī shajar se hajar se
ye patthar bhī dekho rulāne lagī hai
huī ghar se ruḳhsat hai beTī kī Dolī
maañ bārish meñ aañsū chhupāne lagī hai
'mahak' dil thā āvāra panchhī havā kā
use ghar kā rasta dikhāne lagī hai
mere soe dil ko jagane lagi hai
ye sahra mein baadal sajaane lagi hai
bichha do sabhi phul rahon pe us ke
wo sawan ki rut milne aane lagi hai
zamin se falak tak chhalakta saman hai
hawa mein samundar uThane lagi hai
kabhi girte patte kabhi uDte patte
ye aangan mein halchal machane lagi hai
baDi KHubsurat hai barish magar ye
gharibon ki chhat kyun girane lagi hai
Tapakta hai pani shajar se hajar se
ye patthar bhi dekho rulane lagi hai
hui ghar se ruKHsat hai beTi ki Doli
man barish mein aansu chhupane lagi hai
'mahak' dil tha aawara panchhi hawa ka
use ghar ka rasta dikhane lagi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.