mere sukun ki duniya mein iztirar nahin
mire sukūn kī duniyā meñ iztirār nahīñ
nahīñ nahīñ mujhe ab terā intizār nahīñ
vo bevafā.ī ke qaa.il maiñ jāñ-nisārī kā
kisī ko apnī tabī.at pe iḳhtiyār nahīñ
samajh sake koī kyā mere zarf-e-ālī ko
piye haiñ mai-kade lekin zarā ḳhumār nahīñ
tirī nigāh se gir kar yaqīñ huā mujh ko
jahāñ meñ koī kisī kā bhī ġham-gusār nahīñ
mire ḳhafīf tabassum pe bhūlne vaalo
maiñ kāmgār nahīñ huuñ maiñ kāmgār nahīñ
haiñ dil se tark-e-mohabbat ke mashvare lekin
tumheñ bhulā bhī sakūñgā ye e'tibār nahīñ
muāmle meñ mohabbat ke bad-gumān huuñ 'raaj
vo kyā haiñ mujh ko ḳhudā kā bhī e'tibār nahīñ
mere sukun ki duniya mein iztirar nahin
nahin nahin mujhe ab tera intizar nahin
wo bewafai ke qail main jaan-nisari ka
kisi ko apni tabiat pe iKHtiyar nahin
samajh sake koi kya mere zarf-e-ali ko
piye hain mai-kade lekin zara KHumar nahin
teri nigah se gir kar yaqin hua mujh ko
jahan mein koi kisi ka bhi gham-gusar nahin
mere KHafif tabassum pe bhulne walo
main kaamgar nahin hun main kaamgar nahin
hain dil se tark-e-mohabbat ke mashware lekin
tumhein bhula bhi sakunga ye e'tibar nahin
muamle mein mohabbat ke bad-guman hun 'raj
wo kya hain mujh ko KHuda ka bhi e'tibar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.