mere sune ujDe dayar mein kabhi do ghaDi hi qayam kar
mire suune ujḌe dayār meñ kabhī do ghaḌī hī qayām kar
ho jo dil to us meñ sukūn le tirā jī kare to ḳhirām kar
maiñ tamām umr guzār duuñ jise sochte jise chāhte
tū jo kar sake mire ham-navā to vo ek pal mire naam kar
mujhe apne dil kā vo raaz de jo ḳhushī se mujh ko navāz de
vo jo mujh meñ ruuh sī phūñk de kisī roz aisā kalām kar
mirī dhaḌkanoñ kā ye silsila tire pyaar se hai ravāñ-davāñ
tū jo chāhe is ko davām de jo nahīñ to is ko tamām kar
sar-e-shām mujh se tū mil vahāñ jahāñ ujlatoñ kā na ho nishāñ
kahīñ duur tak yuuñ hī saath chal mirā haath haath meñ thaam kar
tirī chāhatoñ kā faqīr huuñ mujhe qurbatoñ kī niyāz de
zarā paas aa ke tū mil mujhe yūñhī duur se na salām kar
koī kaam karnā hai gar 'zakī' to ye kaam kar mire dostā
kahīñ nafratoñ ko na jā mile tū mohabbatoñ ko yuuñ aam kar
mere sune ujDe dayar mein kabhi do ghaDi hi qayam kar
ho jo dil to us mein sukun le tera ji kare to KHiram kar
main tamam umr guzar dun jise sochte jise chahte
tu jo kar sake mere ham-nawa to wo ek pal mere nam kar
mujhe apne dil ka wo raaz de jo KHushi se mujh ko nawaz de
wo jo mujh mein ruh si phunk de kisi roz aisa kalam kar
meri dhaDkanon ka ye silsila tere pyar se hai rawan-dawan
tu jo chahe is ko dawam de jo nahin to is ko tamam kar
sar-e-sham mujh se tu mil wahan jahan ujlaton ka na ho nishan
kahin dur tak yun hi sath chal mera hath hath mein tham kar
teri chahaton ka faqir hun mujhe qurbaton ki niyaz de
zara pas aa ke tu mil mujhe yunhi dur se na salam kar
koi kaam karna hai gar 'zaki' to ye kaam kar mere dosta
kahin nafraton ko na ja mile tu mohabbaton ko yun aam kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.