mere thake hue shanon se bojh utar to gaya
mire thake hue shānoñ se bojh utar to gayā
bahut tavīl thā ye din magar guzar to gayā
lagā ke daav pe sāñsoñ kī āḳhirī pūñjī
vo mutma.in hai chalo hārne kā Dar to gayā
kasī gunāh kī parchhā.iyāñ thiiñ chehre par
samajh na paayā magar aa.ine se Dar to gayā
ye aur baat ki kāñdhoñ pe le ga.e haiñ use
kisī bahāne se dīvāna aaj ghar to gayā
mere thake hue shanon se bojh utar to gaya
bahut tawil tha ye din magar guzar to gaya
laga ke daw pe sanson ki aaKHiri punji
wo mutmain hai chalo haarne ka Dar to gaya
kasi gunah ki parchhaiyan thin chehre par
samajh na paya magar aaine se Dar to gaya
ye aur baat ki kandhon pe le gae hain use
kisi bahane se diwana aaj ghar to gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.