Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere wahm-o-guman se bhi ziyaada TuT jata hai

Saleem Saghar

mere wahm-o-guman se bhi ziyaada TuT jata hai

Saleem Saghar

MORE BYSaleem Saghar

    mire vahm-o-gumāñ se bhī ziyāda TuuT jaatā hai

    ye dil apnī hadoñ meñ rah ke itnā TuuT jaatā hai

    maiñ ro.uuñ to dar-o-dīvār mujh par hañsne lagte haiñ

    hañsūñ to mere andar jaane kyā kyā TuuT jaatā hai

    maiñ jis lamhe ḳhvāhish meñ safar kartā huuñ sadiyoñ

    kahīñ pāñv-tale aa kar vo lamha TuuT jaatā hai

    mire ḳhvāboñ bastī se janāze uThte jaate haiñ

    mirī āñkheñ jise chhū leñ vo sapnā TuuT jaatā hai

    na jaane kitnī muddat se hai dil meñ ye amal jaarī

    zarā Thes lagtī hai zarā TuuT jaatā hai

    dil-e-nādāñ hamārī to numū nā-mukammal thī

    to hairat kyā jo bante irāda TuuT jaatā hai

    muqaddar meñ mire 'sāgar' shikast-o-reḳht itnī hai

    maiñ jis ko apnā kah duuñ vo sitārā TuuT jaatā hai

    mere wahm-o-guman se bhi ziyaada TuT jata hai

    ye dil apni hadon mein rah ke itna TuT jata hai

    main roun to dar-o-diwar mujh par hansne lagte hain

    hansun to mere andar jaane kya kya TuT jata hai

    main jis lamhe ki KHwahish mein safar karta hun sadiyon ka

    kahin panw-tale aa kar wo lamha TuT jata hai

    mere KHwabon ki basti se janaze uThte jate hain

    meri aankhen jise chhu len wo sapna TuT jata hai

    na jaane kitni muddat se hai dil mein ye amal jari

    zara si Thes lagti hai zara sa TuT jata hai

    dil-e-nadan hamari to numu hi na-mukammal thi

    to hairat kya jo bante hi irada TuT jata hai

    muqaddar mein mere 'sagar' shikast-o-reKHt itni hai

    main jis ko apna kah dun wo sitara TuT jata hai

    Source :
    • Book : Beesveen Sadi Ki Behtareen Ishqiya Ghazlen (Pg. 119)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now