mere wajud ke aangan mein KHwab raushan tha
mire vajūd ke āñgan meñ ḳhvāb raushan thā
savād-e-hijr meñ taaza gulāb raushan thā
kalī kalī kī zabāñ par azaab raushan thā
ai ham-safar dil-e-ḳhāna-ḳharāb raushan thā
ye kis hisāb meñ jhelī hai maiñ ne dar-ba-darī
tire savāl-e-badan par javāb raushan thā
maiñ apnī aag se khelā maiñ apne aap jalā
hisār-e-lams meñ utrā sahāb raushan thā
tū rat-jagoñ kī masāfat meñ gum huā 'ḳhurshīd'
ik āftāb pas-e-āftāb raushan thā
mere wajud ke aangan mein KHwab raushan tha
sawad-e-hijr mein taza gulab raushan tha
kali kali ki zaban par azab raushan tha
ai ham-safar dil-e-KHana-KHarab raushan tha
ye kis hisab mein jheli hai main ne dar-ba-dari
tere sawal-e-badan par jawab raushan tha
main apni aag se khela main apne aap jala
hisar-e-lams mein utra sahab raushan tha
tu rat-jagon ki masafat mein gum hua 'KHurshid'
ek aaftab pas-e-aftab raushan tha
- Book : Harf hale (Pg. 56)
- Author : Aazam Khurshiid
- Publication : Lodhi Publishers
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.