mere yahan teri aawaz rah gai baqi
mire yahāñ tirī āvāz rah ga.ī baaqī
tirā nishāñ tirī āvāz rah ga.ī baaqī
bas ik yaqīn badan duur le ga.ī hai tū
bas ik gumāñ tirī āvāz rah ga.ī baaqī
hamāre ghar ke vo kone bhī ho ga.e pāgal
jahāñ jahāñ tirī āvāz rah ga.ī baaqī
sunā.ī dī abhī pattoñ kī sarsarāhaT meñ
kahāñ kahāñ tirī āvāz rah ga.ī baaqī
har ek kone se kamre ke chun rahā huuñ maiñ
jahāñ-tahāñ tirī āvāz rah ga.ī baaqī
udaas shaam kī sākit havā ke hoñToñ par
ravāñ ravāñ tirī āvāz rah ga.ī baaqī
tū mere ghar se har ik chiiz le ga.ī apnī
magar ye jaañ tirī āvāz rah ga.ī baaqī
mere yahan teri aawaz rah gai baqi
tera nishan teri aawaz rah gai baqi
bas ek yaqin badan dur le gai hai tu
bas ek guman teri aawaz rah gai baqi
hamare ghar ke wo kone bhi ho gae pagal
jahan jahan teri aawaz rah gai baqi
sunai di abhi patton ki sarsarahaT mein
kahan kahan teri aawaz rah gai baqi
har ek kone se kamre ke chun raha hun main
jahan-tahan teri aawaz rah gai baqi
udas sham ki sakit hawa ke honTon par
rawan rawan teri aawaz rah gai baqi
tu mere ghar se har ek chiz le gai apni
magar ye jaan teri aawaz rah gai baqi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.