mere zehn-o-dil par jo chhaya hua hai
mire zehn-o-dil par jo chhāyā huā hai
mujhe us ne yaksar bhulāyā huā hai
har ik naqsh-e-duniyā miTāyā huā hai
use maiñ ne dil meñ basāyā huā hai
bahut duur mahsūs hotā hai mujh ko
gale jis ko maiñ ne lagāyā huā hai
mujhe ḳhauf hai silvaTeñ paḌ na jaa.eñ
badan us ne apnā bichhāyā huā hai
tumheñ DhūñDne se nahīñ milne vaalā
nishān apnā maiñ ne miTāyā huā hai
bhaTakte haiñ sahrā meñ kitne musāfir
har ik naqsh-e-pā kā safāyā huā hai
yahī jā-nashīñ hai mirī mumlikat kā
baġhal meñ jo bachcha sulāyā huā hai
mere zehn-o-dil par jo chhaya hua hai
mujhe us ne yaksar bhulaya hua hai
har ek naqsh-e-duniya miTaya hua hai
use main ne dil mein basaya hua hai
bahut dur mahsus hota hai mujh ko
gale jis ko main ne lagaya hua hai
mujhe KHauf hai silwaTen paD na jaen
badan us ne apna bichhaya hua hai
tumhein DhunDne se nahin milne wala
nishan apna main ne miTaya hua hai
bhaTakte hain sahra mein kitne musafir
har ek naqsh-e-pa ka safaya hua hai
yahi ja-nashin hai meri mumlikat ka
baghal mein jo bachcha sulaya hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.