meri aankhon ke jo raushan diye hain
mirī āñkhoñ ke jo raushan diye haiñ
tumhārī yaad meñ bujhne lage haiñ
ka.ī aañsū to aslī rang apnā
mirī āñkhoñ meñ aa kar dekhte haiñ
tumhāre ḳhvāb dilkash ḳhvāb the par
mirī āñkhoñ meñ bhī gahre kueñ haiñ
vahī rishte jo mujh ko bun rahe the
mire ash'ār meñ bikhre paḌe haiñ
baDappan dekhiye mere baḌoñ kā
mujhe chhoTā jatāne par tule haiñ
meri aankhon ke jo raushan diye hain
tumhaari yaad mein bujhne lage hain
kai aansu to asli rang apna
meri aankhon mein aa kar dekhte hain
tumhaare KHwab dilkash KHwab the par
meri aankhon mein bhi gahre kuen hain
wahi rishte jo mujh ko bun rahe the
mere ash'ar mein bikhre paDe hain
baDappan dekhiye mere baDon ka
mujhe chhoTa jatane par tule hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.