meri aankhon mein manzar dhul raha tha
mirī āñkhoñ meñ manzar dhul rahā thā
sar-e-mizhgāñ sitārā ghul rahā thā
bahut se lafz dastak de rahe the
sukūt-e-shab meñ rasta khul rahā thā
jo uglā vaqt ke ātish-fishāñ ne
vo lamha ḳhaak meñ phir rul rahā thā
huā thā qurmuzī paanī jahāñ se
vahāñ kal shaam tak ik pul rahā thā
tumhāre naam se aage kā rasta
ajal kī āhaToñ meñ khul rahā thā
meri aankhon mein manzar dhul raha tha
sar-e-mizhgan sitara ghul raha tha
bahut se lafz dastak de rahe the
sukut-e-shab mein rasta khul raha tha
jo ugla waqt ke aatish-fishan ne
wo lamha KHak mein phir rul raha tha
hua tha qurmuzi pani jahan se
wahan kal sham tak ek pul raha tha
tumhaare nam se aage ka rasta
ajal ki aahaTon mein khul raha tha
- Book : Sadiyo.n Jaise Pal (Pg. 149)
- Author : AMBARIN SALAHUDDIN
- Publication : AMBARIN SALAHUDDIN (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.