meri aankhon se hijrat ka wo manzar kyun nahin jata
meri aankhon se hijrat ka wo manzar kyun nahin jata
Prabudha Saurabh
MORE BYPrabudha Saurabh
mirī āñkhoñ se hijrat kā vo manzar kyuuñ nahīñ jaatā
bichhaḌ kar bhī bichhaḌ jaane kā ye Dar kyuuñ nahīñ jaatā
agar ye zaḳhm bharnā hai to phir bhar kyuuñ nahīñ jaatā
agar ye jān-levā hai to maiñ mar kyuuñ nahīñ jaatā
agar tū dost hai to phir ye ḳhanjar kyuuñ hai hāthoñ meñ
agar dushman hai to āḳhir mirā sar kyuuñ nahīñ jaatā
batā.ūñ kis havāle se unheñ bairāg kā matlab
jo taare pūchhte haiñ raat ko ghar kyuuñ nahīñ jaatā
zarā fursat mile qismat kī chausar se to sochūñgā
ki ḳhvāhish aur hāsil kā ye antar kyuuñ nahīñ jaatā
mire saare raqīboñ ne zamīneñ chhoḌ diiñ kab kī
magar ash.ār se mere vo tevar kyuuñ nahīñ jaatā
mujhe bechain karte haiñ ye dil ke an-ginat dhabbe
jo jaatā hai vo yādoñ ko miTā kar kyuuñ nahīñ jaatā
meri aankhon se hijrat ka wo manzar kyun nahin jata
bichhaD kar bhi bichhaD jaane ka ye Dar kyun nahin jata
agar ye zaKHm bharna hai to phir bhar kyun nahin jata
agar ye jaan-lewa hai to main mar kyun nahin jata
agar tu dost hai to phir ye KHanjar kyun hai hathon mein
agar dushman hai to aaKHir mera sar kyun nahin jata
bataun kis hawale se unhen bairag ka matlab
jo tare puchhte hain raat ko ghar kyun nahin jata
zara fursat mile qismat ki chausar se to sochunga
ki KHwahish aur hasil ka ye antar kyun nahin jata
mere sare raqibon ne zaminen chhoD din kab ki
magar ashaar se mere wo tewar kyun nahin jata
mujhe bechain karte hain ye dil ke an-ginat dhabbe
jo jata hai wo yaadon ko miTa kar kyun nahin jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.