meri aarzu ka hasil meri zist ka sahaara
mirī aarzū kā hāsil mirī ziist kā sahārā
tirā ik hasīñ tabassum tirā jalva-e-ḳhud-ārā
tire dard-o-ġham ke sadqe tirī be-ruḳhī ke qurbāñ
inhīñ kaj-adā.iyoñ ne mirī ziist ko sañvārā
mirī kashti-e-tamannā hai ajiib kashmakash meñ
kabhī hai qarīb manzil kabhī duur hai kinārā
kabhī ye ḳhayāl guzrā ki nazar ke sāmne ho
kabhī ye gumāñ huā hai ki mujhe kahīñ pukārā
jo mile bhī ho to kyā hai tumheñ pā ke DhūñDte haiñ
tumheñ be-ruḳhī mubārak hameñ justujū gavārā
tirī shaan be-niyāzī mirā ye junūn-e-paiham
tirī yaad de rahī hai mire zabt ko sahārā
kabhī nau-bahār ban kar ho chaman chaman meñ raqsāñ
kabhī ko.eloñ ke lab par kabhī gul se āshkārā
kabhī dil ko chain miltā kabhī dard dam to letā
tujhe be-qarār 'zebā' isī aarzū ne maarā
meri aarzu ka hasil meri zist ka sahaara
tera ek hasin tabassum tera jalwa-e-KHud-ara
tere dard-o-gham ke sadqe teri be-ruKHi ke qurban
inhin kaj-adaiyon ne meri zist ko sanwara
meri kashti-e-tamanna hai ajib kashmakash mein
kabhi hai qarib manzil kabhi dur hai kinara
kabhi ye KHayal guzra ki nazar ke samne ho
kabhi ye guman hua hai ki mujhe kahin pukara
jo mile bhi ho to kya hai tumhein pa ke DhunDte hain
tumhein be-ruKHi mubarak hamein justuju gawara
teri shan be-niyazi mera ye junun-e-paiham
teri yaad de rahi hai mere zabt ko sahaara
kabhi nau-bahaar ban kar ho chaman chaman mein raqsan
kabhi koelon ke lab par kabhi gul se aashkara
kabhi dil ko chain milta kabhi dard dam to leta
tujhe be-qarar 'zeba' isi aarzu ne mara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.