meri aarzu ki hudud mein ye falak nahin ye zamin nahin
mirī aarzū kī hudūd meñ ye falak nahīñ ye zamīñ nahīñ
mujhe bazm-e-quds meñ de jagah jo vahāñ nahīñ to kahīñ nahīñ
hai jabīñ to asl meñ vo jabīñ ki jhuke vahāñ to jhukī rahe
tire āstāñ se jo uTh ga.ī vo jabīñ to koī jabīñ nahīñ
mire dil kī nazr qubūl kar jo ishāra ho to ye sar nisār
ki vafā-e-ahd kī shart meñ kahīñ darj lafz nahīñ nahīñ
ye arab bhī hai mire rū-ba-rū ye ajam bhī hai mire sāmne
mirī justujū ko yaqīn hai kahīñ tujh sā koī hasīñ nahīñ
tire kund teshe se rāh-rau ye chaTān kaise kaTe bhalā
tire haath yaḳh tire paañv shal tire dil meñ soz-e-yaqīñ nahīñ
ye jo bandagī hai 'urūj' kī tirī zindagī se hai qīmtī
na ho bandagī to fuzūl hai koī vazn us kā kahīñ nahīñ
meri aarzu ki hudud mein ye falak nahin ye zamin nahin
mujhe bazm-e-quds mein de jagah jo wahan nahin to kahin nahin
hai jabin to asl mein wo jabin ki jhuke wahan to jhuki rahe
tere aastan se jo uTh gai wo jabin to koi jabin nahin
mere dil ki nazr qubul kar jo ishaara ho to ye sar nisar
ki wafa-e-ahd ki shart mein kahin darj lafz nahin nahin
ye arab bhi hai mere ru-ba-ru ye ajam bhi hai mere samne
meri justuju ko yaqin hai kahin tujh sa koi hasin nahin
tere kund teshe se rah-rau ye chaTan kaise kaTe bhala
tere hath yaKH tere panw shal tere dil mein soz-e-yaqin nahin
ye jo bandagi hai 'uruj' ki teri zindagi se hai qimti
na ho bandagi to fuzul hai koi wazn us ka kahin nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.