meri be-zabani zaban ho na jae
mirī be-zabānī zabāñ ho na jaa.e
nihāñ hai jo dil meñ ayaañ ho na jaa.e
vo mujh par kahīñ mehrbāñ ho na jaa.e
matā-e-sukūñ rā.egāñ ho na jaa.e
sitāroñ se aage qadam rakhne vaalo
zamīn-e-sitam āsmāñ ho na jaa.e
kahīñ merī rūdād-e-dard-e-mohabbat
mirī jaañ tirī dāstāñ ho na jaa.e
mirī jur.at-e-arz husn-e-tamannā
kahīñ un ke dil par garāñ ho na jaa.e
adāvat mazālim tasādum se 'vāris'
jahannum pe jannat-nishāñ ho na jaa.e
meri be-zabani zaban ho na jae
nihan hai jo dil mein ayan ho na jae
wo mujh par kahin mehrban ho na jae
mata-e-sukun raegan ho na jae
sitaron se aage qadam rakhne walo
zamin-e-sitam aasman ho na jae
kahin meri rudad-e-dard-e-mohabbat
meri jaan teri dastan ho na jae
meri jurat-e-arz husn-e-tamanna
kahin un ke dil par garan ho na jae
adawat mazalim tasadum se 'waris'
jahannum pe jannat-nishan ho na jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.