meri dastan mujhe hi mera dil suna ke roe
Interesting Fact
Film: Aao Pyar Karein (1964)
mirī dāstāñ mujhe hī mirā dil sunā ke ro.e
kabhī ro ke muskurā.e kabhī muskurā ke ro.e
mile ġham se apne fursat to maiñ haal pūchhūñ un kā
shab-e-ġham se koī kah de kahīñ aur jā ke ro.e
hameñ vāsta taḌap se hameñ kaam āñsuoñ se
tujhe yaad kar ke ro.e yā tujhe bhulā ke ro.e
vo jo aazmā rahe the mirī be-qarāriyoñ ko
mire saath saath vo bhī mujhe aazmā ke ro.e
meri dastan mujhe hi mera dil suna ke roe
kabhi ro ke muskurae kabhi muskura ke roe
mile gham se apne fursat to main haal puchhun un ka
shab-e-gham se koi kah de kahin aur ja ke roe
hamein wasta taDap se hamein kaam aansuon se
tujhe yaad kar ke roe ya tujhe bhula ke roe
wo jo aazma rahe the meri be-qarariyon ko
mere sath sath wo bhi mujhe aazma ke roe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.