Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

meri fitrat haqiqat-ashna malum hoti hai

Raz Chandpuri

meri fitrat haqiqat-ashna malum hoti hai

Raz Chandpuri

MORE BYRaz Chandpuri

    mirī fitrat haqīqat-āshnā ma.alūm hotī hai

    nazar paḌtī hai jis shai par ḳhudā ma.alūm hotī hai

    sarāpā soz lekin jāñ-fizā ma.alūm hotī hai

    sadā-e-sāz-e-dil haq sadā ma.alūm hotī hai

    bahut ḳhush-zarf-o-ḳhush-bīñ hai fazā-e-vādī-e-ġhurbat

    ba-zāhir hamdam-o-dard-āshnā ma.alūm hotī hai

    ye kaisī zindagī hai ai asīr-e-dām-e-ḳhush-fahmī

    jafā-e-bāġhbāñ bhī ab vafā ma.alūm hotī hai

    maiñ us manzil meñ huuñ ab gām-farsā ai zahe-qismat

    nigāh-e-rāhzan bhī rahnumā ma.alūm hotī hai

    ye rañg-e-sher-goī raaz ye tarz-e-ġhazal-ḳhvānī

    tirī fitrat haqīqat-āshnā ma.alūm hotī hai

    meri fitrat haqiqat-ashna malum hoti hai

    nazar paDti hai jis shai par KHuda malum hoti hai

    sarapa soz lekin jaan-fiza malum hoti hai

    sada-e-saz-e-dil haq ki sada malum hoti hai

    bahut KHush-zarf-o-KHush-bin hai faza-e-wadi-e-ghurbat

    ba-zahir hamdam-o-dard-ashna malum hoti hai

    ye kaisi zindagi hai ai asir-e-dam-e-KHush-fahmi

    jafa-e-baghban bhi ab wafa malum hoti hai

    main us manzil mein hun ab gam-farsa ai zahe-qismat

    nigah-e-rahzan bhi rahnuma malum hoti hai

    ye rang-e-sher-goi raaz ye tarz-e-ghazal-KHwani

    teri fitrat haqiqat-ashna malum hoti hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now