meri hayat agar muzhda-e-sahar bhi nahin
mirī hayāt agar muzhda-e-sahar bhī nahīñ
sitam ye hai ki tire ġham kī rahguzar bhī nahīñ
chaman meñ hoñ meñ pareshān misl-e-mauj-e-nasīm
chaTak ke ġhunche kaheñge hameñ ḳhabar bhī nahīñ
nishāt-o-kaif ke lamhoñ zarā Thahar jaao
bahār raah meñ hai duur kā safar bhī nahīñ
maiñ terī jumbish-e-mizhgāñ se kaañp jaatā hoñ
agarche dil ko ġham-e-do-jahāñ se Dar bhī nahīñ
fareb-e-va.ada pe ham tā-abad ji.eñ lekin
hazār haif ye imkān umr bhar bhī nahīñ
koī to hamdam-e-derīna de sadā is dam
vo ajnabī hoñ ki mānūs apnā ghar bhī nahīñ
nasīm sar-ba-garebāñ sabā hai sar-gardāñ
vo vaqt hai koī ḳhushbū kā rāhbar bhī nahīñ
zamīn par hī kahīñ nuur kā surāġh lagāo
sitāre Duub ga.e charḳh par qamar bhī nahīñ
kaTī hai āñkhoñ hī āñkhoñ meñ shām-e-hijr magar
shab-e-darāz-e-alam itnī muḳhtasar bhī nahīñ
kisī kī narm-nigāhī kī aañch hai varna
ye dil-pazīr navā jalva-e-hunar bhī nahīñ
havā-e-shām se kitne charāġh jal uTThe
dayār-e-dil meñ tamannā kā ik sharar bhī nahīñ
na jaane kyuuñ dar-e-zindāñ bhī kaañp uThtā hai
sadā-e-'fauq' agar aisī kārgar bhī nahīñ
meri hayat agar muzhda-e-sahar bhi nahin
sitam ye hai ki tere gham ki rahguzar bhi nahin
chaman mein hon mein pareshan misl-e-mauj-e-nasim
chaTak ke ghunche kahenge hamein KHabar bhi nahin
nishat-o-kaif ke lamhon zara Thahar jao
bahaar rah mein hai dur ka safar bhi nahin
main teri jumbish-e-mizhgan se kanp jata hon
agarche dil ko gham-e-do-jahan se Dar bhi nahin
fareb-e-wada pe hum ta-abad jien lekin
hazar haif ye imkan umr bhar bhi nahin
koi to hamdam-e-derina de sada is dam
wo ajnabi hon ki manus apna ghar bhi nahin
nasim sar-ba-gareban saba hai sar-gardan
wo waqt hai koi KHushbu ka rahbar bhi nahin
zamin par hi kahin nur ka suragh lagao
sitare Dub gae charKH par qamar bhi nahin
kaTi hai aankhon hi aankhon mein sham-e-hijr magar
shab-e-daraaz-e-alam itni muKHtasar bhi nahin
kisi ki narm-nigahi ki aanch hai warna
ye dil-pazir nawa jalwa-e-hunar bhi nahin
hawa-e-sham se kitne charagh jal uTThe
dayar-e-dil mein tamanna ka ek sharar bhi nahin
na jaane kyun dar-e-zindan bhi kanp uThta hai
sada-e-'fauq' agar aisi kargar bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.