meri KHata sar-e-mahfil talash karta hai
mirī ḳhatā sar-e-mahfil talāsh kartā hai
bahāna qatl kā qātil talāsh kartā hai
chubho ke tanz ke neze hamārī rag rag meñ
vo shiddat-e-ḳhalish-e-dil talāsh kartā hai
chaman jalā ke parindoñ kā kar ke qatl-e-ām
vo naġhma-hā-e-anādil talāsh kartā hai
rumūz-e-naqd-o-nazar se jo āshnā bhī nahīñ
ġhazal meñ naqs vo jāhil talāsh kartā hai
vo ḳhūn-e-hasrat-e-dil se navāz kar aañsū
lahū kā rañg bhī shāmil talāsh kartā hai
mizha pe ijz ke taare liye hue 'hassān'
dar ek sajde ke qābil talāsh kartā hai
meri KHata sar-e-mahfil talash karta hai
bahana qatl ka qatil talash karta hai
chubho ke tanz ke neze hamari rag rag mein
wo shiddat-e-KHalish-e-dil talash karta hai
chaman jala ke parindon ka kar ke qatl-e-am
wo naghma-ha-e-anadil talash karta hai
rumuz-e-naqd-o-nazar se jo aashna bhi nahin
ghazal mein naqs wo jahil talash karta hai
wo KHun-e-hasrat-e-dil se nawaz kar aansu
lahu ka rang bhi shamil talash karta hai
mizha pe ijz ke tare liye hue 'hassan'
dar ek sajde ke qabil talash karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.