meri man ne mujhko janam jab diya tha
mirī maañ ne mujh ko janam jab diyā thā
maiñ lāshoñ ke ambār par jā girā thā
jahāñ par tumhārī ridā chhin ga.ī thī
vahīñ par hamārā bhī baazū kaTā thā
yahīñ par use jaan dene kī zid thī
yahīñ se vo parcham uThā.e chalā thā
mujhe saat chehroñ kī sūrat milī thī
tazabzub meñ har ik mujhe dekhtā thā
maiñ logoñ kī is bhiiḌ meñ sochtā huuñ
mirā naam kyā hai mirā naam kyā thā
meri man ne mujh ko janam jab diya tha
main lashon ke ambar par ja gira tha
jahan par tumhaari rida chhin gai thi
wahin par hamara bhi bazu kaTa tha
yahin par use jaan dene ki zid thi
yahin se wo parcham uThae chala tha
mujhe sat chehron ki surat mili thi
tazabzub mein har ek mujhe dekhta tha
main logon ki is bhiD mein sochta hun
mera nam kya hai mera nam kya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.