meri mohabbat bhi nilgun hai
mirī mohabbat bhī nīlgūñ hai
maiñ us ko dūñgī gulāb niilā
chamakte aariz ghaTā se gesū
haTā diyā hai naqāb niilā
falak se aage palak se aage
nazar meñ rakkhā shahāb niilā
hai naġhma āhañg-e-zindagī bhī
hai sāz-e-mauj-e-rabāb niilā
hare samundar ke paas jā.ūñ
to vo bhī nikle sarāb niilā
jo laal lafzoñ se ḳhat likhā thā
mujhe milā hai javāb niilā
haiñ zaḳhm saare hī niile niile
hai ye mohabbat azaab niilā
rafāqatoñ ke safar se bojhal
maiñ likh rahī huuñ nisāb niilā
meri mohabbat bhi nilgun hai
main us ko dungi gulab nila
chamakte aariz ghaTa se gesu
haTa diya hai naqab nila
falak se aage palak se aage
nazar mein rakkha shahab nila
hai naghma aahang-e-zindagi bhi
hai saz-e-mauj-e-rabab nila
hare samundar ke pas jaun
to wo bhi nikle sarab nila
jo lal lafzon se KHat likha tha
mujhe mila hai jawab nila
hain zaKHm sare hi nile nile
hai ye mohabbat azab nila
rafaqaton ke safar se bojhal
main likh rahi hun nisab nila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.