meri mushkil ka hal nahin milta
mirī mushkil kā hal nahīñ miltā
phuul khilte haiñ phal nahīñ miltā
chand roza hayāt duniyā meñ
chain kā ek phal nahīñ miltā
jin ke dil meñ hazār shikve haiñ
un ke māthe pe bal nahīñ miltā
aur sab kuchh hai terī āñkhoñ meñ
ek soz-e-ġhazal nahīñ miltā
ittifāqan agar bichhaḌ jaa.e
aadmī kā badal nahīñ miltā
merā apnā mizāj hai 'tābish'
raah le apnī chal nahīñ miltā
meri mushkil ka hal nahin milta
phul khilte hain phal nahin milta
chand roza hayat duniya mein
chain ka ek phal nahin milta
jin ke dil mein hazar shikwe hain
un ke mathe pe bal nahin milta
aur sab kuchh hai teri aankhon mein
ek soz-e-ghazal nahin milta
ittifaqan agar bichhaD jae
aadmi ka badal nahin milta
mera apna mizaj hai 'tabish'
rah le apni chal nahin milta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.