meri nazar mein ye qimat hai muskurane ki
mirī nazar meñ ye qīmat hai muskurāne kī
chhupāo hañste hue talḳhiyāñ zamāne kī
tamām 'umr qafas meñ basar huī lekin
hamesha aatī rahī yaad āshiyāne kī
ḳhushī thī itnī ki āñkhoñ meñ aa ga.e aañsū
ḳhabar jo maiñ ne sunī aaj un ke aane kī
taḌap taḌap ke guzāre haiñ roz-o-shab lekin
kabhī zabāñ se shikāyat na kī zamāne kī
meri nazar mein ye qimat hai muskurane ki
chhupao hanste hue talKHiyan zamane ki
tamam 'umr qafas mein basar hui lekin
hamesha aati rahi yaad aashiyane ki
KHushi thi itni ki aankhon mein aa gae aansu
KHabar jo main ne suni aaj un ke aane ki
taDap taDap ke guzare hain roz-o-shab lekin
kabhi zaban se shikayat na ki zamane ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.