meri nigah ka paigham be-sada jo hua
mirī nigāh kā paiġhām be-sadā jo huā
vo merī baat sune kyuuñ maiñ be-navā jo huā
savād-e-shahr meñ milte haiñ log sañg-ba-dast
savād-e-shahr se sahrā ko rāsta jo huā
milā na tū to ġham-e-zindagī ke dīvāne
idhar hī lauT paḌe maiñ terā patā jo huā
tamām raat maiñ suntā rahā tirī āvāz
tirā ḳhayāl hī mujh ko tirī sadā jo huā
havā-e-gul bhī pareshāñ qabā-e-gul bhī chaak
junūñ kā fasl-e-bahārāñ se rābta jo huā
meri nigah ka paigham be-sada jo hua
wo meri baat sune kyun main be-nawa jo hua
sawad-e-shahr mein milte hain log sang-ba-dast
sawad-e-shahr se sahra ko rasta jo hua
mila na tu to gham-e-zindagi ke diwane
idhar hi lauT paDe main tera pata jo hua
tamam raat main sunta raha teri aawaz
tera KHayal hi mujh ko teri sada jo hua
hawa-e-gul bhi pareshan qaba-e-gul bhi chaak
junun ka fasl-e-bahaaran se rabta jo hua
- Book : Range-e-Gazal (Pg. 117)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.