meri nigah kahan did-e-husn-e-yar kahan
mirī nigāh kahāñ dīd-e-husn-e-yār kahāñ
ho e'tibār to phir tāb-e-intizār kahāñ
diloñ meñ farq huā jab to chaah pyaar kahāñ
chaman chaman hī nahīñ aa.egī bahār kahāñ
jise ye kah ke vo hañs deñ ki qissa achchhā hai
vo raaz khul ke bhī hotā hai āshkār kahāñ
umañg thī ye javānī kī yā koī āñdhī
milā ke ḳhaak meñ ham ko ga.ī bahār kahāñ
umīd-vār banāne se mudda.ā kyā thā
jab aas tum ne dilā dī to ab qarār kahāñ
milī hai is liye do-chār din kī āzādī
ki sarf kartā hai dekheñ ye iḳhtiyār kahāñ
ye shauq le ke chalā hai chaman se shakl-e-nasīm
ki dekheñ miltī hai jaatī huī bahār kahāñ
hai ek shart vafā kī vo qaid-e-be-zanjīr
sab iḳhtiyār haiñ aur kuchh bhī iḳhtiyār kahāñ
miTe nishāñ pe nazar kar ke ro jise chāhe
tire sitam kī hai turbat mirā mazār kahāñ
tum aisā ahd-shikan 'ārzū' sā nā-ummīd
kaho jo sach bhī to aatā hai e'tibār kahāñ
meri nigah kahan did-e-husn-e-yar kahan
ho e'tibar to phir tab-e-intizar kahan
dilon mein farq hua jab to chah pyar kahan
chaman chaman hi nahin aaegi bahaar kahan
jise ye kah ke wo hans den ki qissa achchha hai
wo raaz khul ke bhi hota hai aashkar kahan
umang thi ye jawani ki ya koi aandhi
mila ke KHak mein hum ko gai bahaar kahan
umid-war banane se muddaa kya tha
jab aas tum ne dila di to ab qarar kahan
mili hai is liye do-chaar din ki aazadi
ki sarf karta hai dekhen ye iKHtiyar kahan
ye shauq le ke chala hai chaman se shakl-e-nasim
ki dekhen milti hai jati hui bahaar kahan
hai ek shart wafa ki wo qaid-e-be-zanjir
sab iKHtiyar hain aur kuchh bhi iKHtiyar kahan
miTe nishan pe nazar kar ke ro jise chahe
tere sitam ki hai turbat mera mazar kahan
tum aisa ahd-shikan 'arzu' sa na-ummid
kaho jo sach bhi to aata hai e'tibar kahan
This content features in following collection(s)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.