meri nigah mein idrak ke siwa kya hai
mirī nigāh meñ idrāk ke sivā kyā hai
ḳhudā-e-vahdahū laulāk ke sivā kyā hai
ye nār-o-tīn kī takrār nā samajh iblīs
ye aag muñh meñ tire ḳhaak ke sivā kyā hai
bahisht hogī kabhī jab kabhī to hogī zamīñ
is ek markaz-e-aflāk ke sivā kyā hai
haqīr hai ye jahāñ vus.at-e-ḳhayāl adaq
vajūd bas ḳhas-o-ḳhāshāk ke sivā kyā hai
niDar nahīñ huuñ jo kahne pe nafs ke kahtā
yahāñ ye 'safvat'-e-bebāk ke sivā kyā hai
meri nigah mein idrak ke siwa kya hai
KHuda-e-wahdahu laulak ke siwa kya hai
ye nar-o-tin ki takrar na samajh iblis
ye aag munh mein tere KHak ke siwa kya hai
bahisht hogi kabhi jab kabhi to hogi zamin
is ek markaz-e-aflak ke siwa kya hai
haqir hai ye jahan wusat-e-KHayal adaq
wajud bas KHas-o-KHashak ke siwa kya hai
niDar nahin hun jo kahne pe nafs ke kahta
yahan ye 'safwat'-e-bebak ke siwa kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.